Kisi bhi site ya blog ke bare me jaanne ke liye uska About us Page hota hai jisme uske bare me likha hota hai.. Ye ek aesa Page hai jo bhut jaruri bhi hota hai site ke liye..
Agar aap Adsense se paise kamana chate hai to Contact Us, Privacy Policy Page or About us Page hona bhut jaruri hota hai, Jab hi hamara Adsense account Approve hota hai..
About Us Page Kaise Banaye or Usme Kya kya Likhna chaiye chaliye jaante hai..
Site ka Badiya About Us Page Kaise Banaye
About Us ka Matlab hai Hamare Bare Me. Hame Is Page me Hamare bare me or site ke bare me likhna hai.. Jisko koi bhi pad kar site kis bare me hai, Site ka Maksad kya hai, Kis chij ki site hai, Kisne site ko banaya hai, or bhi bhut kuch.. Chaliye Point wise dekhete hai.. Kya Kya Add karna hai About Us Page me..
- Kis Topic Par Site hai.
- Site ka Maksad Kya Hai.
- Site ka Target kya hai.
- Aap kya Service dete hai site par.
- Kya faida hai aapki site ko use karke.
- Site ke Intro ka koi Video ho to Add kare.
- Site ki Ek Choti story likhe.
- Site ka Idea kaha se aaya
- Site kab banai
- Koi Motivational story apni site se sambandit
- Apne Bare meme bataye aap kon hai, kya kiya or kya karte hai.
- Apna ek badiya Photo dale.
- Apni Social Account ki Link dale (Facebook Page, Twitter) jisse agar unko aapki site pasand aaye to wo aapko Like, Follow karle.
- Contact Us Page ki Link bhi add kare, taki koi aapse contact karna chahe to kar sake.
- Aapki site par agar koi badiya post hai to aap uski link bhi add kar sakte ho Page me.
Inke aalawa bhi aap Likh sakte hai, Ab aap samaj gaye hoge ki About Us Page me Kya Likhna hai.. To ek badiya About Us Page Banaye Apni site ke liye..
Ek Baat ka or diyaan rakhe, likhna is prakar hai jese visitor aapke saamne betha hai or aap usse hi baat kar rahe hai.. Acha Impression Jamega.
Blogger me Kaise Add kare Contact Us Page
Simple aapko Page Add karna hai, Chaliye dekhte hai kaise –
Blogger me Login kare, Fir Deshboard me jakar Page ke section me jaye.
Ab Page Editor klhul jayega
- Sabse Phele Page Title box me About Us Dale
- Ab Body me jesa Upar bataya, aap Apni Site or Apne Bare me Badiya tarike se Likhe.
- Last me Publish karde Page ko.
Is Page ko Menu me jarur add kare, jab hi koi isko dekh payega.
Aap jitna ho sake badiya About Us Page Banane ki Kosis kare.. Example ke liye hamara About Us Page Dekhe..
0 Comments
Thank You For Commenting We Will Reply You Soon..!