#1: Apne Blog Post Ke Keyword Ko Jane

jab bhi aap apne blog ka koi bhi article likhne jaye to sabse pehle uss article ke target keyword ko jaan le. bina post ke keyword jane article na likhe. aapko apne post ka keyword janane ke liye google adword tool ka use karna chahiye.

google adword tool ke madhyam se aap apne post ke liye target keyword select karke usko apne post me optimize kar de. jab bhi aap apne blog post ke keyword ko select kare to ye dhyaan de ki aapko popular keyword ko na select kare kyoki papular keyword already optimize hote hai isliye kam traffic wale keyword ko select kare.

kam traffic keyword ka mtlb keyword ka view kam se kam 3500-4000 monthly search ho. iss tarah aap kuch badiya low traffic keyword ko select karke paper me likh le aur jab article likhna shuru kare to aap un keyword ko article me kahi na kahi set karte jaye iss tarah se karne par aapko search optimization se badiya traffic milegi aur aapka post bhi SEO friendly hoga.

Keyword kya hai or Post me Keyword density kya rakhe uski jankari bhi aapko mil jayegi agar aapko nahi pata hai to.

#2: keyword ko kaha kaha place kare SEO Friendly Blog Post me

Jab aap apna keyword select kar le aur usko paper par note karke usko hamesha apne article ke best place par add karna chahiye. wese to jitna jyada aap keyword apne post me add karege utna hi jyada badiya aapka post SEO optimization hoga lekin mai aapko kuch badiya jagah batata hu jaha par aapko apna best wala keyword place karna hoga:

aap apna best wala keyword yaha place kare

  • Title Tag
  • Meta Description (kaise add kare)
  • Permalink me
  • Image Optimize ALT Tag Me (Kaise yaha dekhe)
  • H2, H3 Subheading Me
  • Interlink Me( Old Blog Post Me)
  • Keyword Density Me ( Isme Keyword add karne 5%-10% Badiya hota hai)

Isko or achi se samanje ke liye aapko ye pata hona bahut jaruri hai ki On Page optimization kaise karte hai.

#3: Apne Post Ka Backlink Banaye

Jab aap apna blog post likh kar publish kar de to ye koshish kare ki aapke blog post ka jyada se jyada backlink banaye aap apne blog post ka backlink commenting or guest posting ke dwara bna sakte hai. apne post ko apne niche blog par comment kare aur ho sake to aapko uss topic par ek nya article likh kar guest post kare.

aur guest post wale blog post me apne blog post ka interlink add karna na bhule.

Guest Posting ke kya fayde hai wo bhi aapko pata hona chahiye, taki aap inka sahi use kar sake.. saath saath Google ke mutabik Guest Post kaise kare wo bhi jarur read kare.

Article ko popular social media site par share karna na bhule isse bhi aapke blog post ka backlink banega. apne blog post ko social bookmarking site aur high rank wale article submission site par bhi publish karna na bhule.

Backlink pane ke aur bhi bahut se tarike hai. aapko blog post ke backlink ke liye legal method ko hi use karna hai. iss tarah aapko apne blog post ko SEO friendly banane ke liye post ka jyda se jyda backlink banana hoga, lekin ek baat ka dhyan rakhe, High Quality backlink ki jada value rheti hai!

Backlink Kya hai or kaise High Quality Backlink banaye.

#4: Google Adword se hi Keyword Research kare

aapko apna keyword ka chunav keyword adword tool se hi karni chahiye agar aapko kuch paise invest karke keyword research karna hai tab aap “Long Tail Keyword” Use kar sakte hai.

agar aap naye blogger hai to aapke liye google adword tool badiya hoga kyo kii ye aapke liye free me uplabdh hai aur iske keyword jyada search visibility hoti hai!

google adword ko use karna bhi bahut aasan hota hai. aur isko koi bhi use kar skta hai. agar aap bina keyword research kiye bina blog post kitna bhi bdiya likh le magar aapko search engine optimization par uska badiya result nahi milega isliye hmesa keyword search karke hi blog post likh. aur aapko keyword research ke liye google adword tool hi chune.

Aap keywordtool.io website ka bhi use kar sakte hai, agar aapko Google Keyword Tool pasand nahi hai to.

#5: Apne Image Ko Search Engine Ke Liye Optimize kare

aapke blog post ka image aapko google, bing se badiya traffic dila sakta hai aur aapke blog post ko ek perfect SEO friendly post bhi bna sakta hai. iske liye aapko apne blog post ke image ko search engine ke liye optimize karna hoga.

apne blog post ke image ko optimize karne ke liye apne image me ALT tag Description dena hoga. apne blog image ke ALT tag Description me apne dwara search kiya hua badiya wala keyword add karna hoga.

Image ke ALT tag me jitna badiya wala keyword rahega utna jyada traffic aapko search engine se milega. blog post ka imagi optimize bhi aapke blog post ko SEO friendly post banta hai. Kaise SEO Optimization Image banaye uski jankari yaha hai.

Image ko Blog me use karne se phele Image compress jarur kare taki uska size thoda kam jo jaye or aapki site fast load ho.

SEO ki Puri Jankari aapko yaha milegi, jisme mene SEO ke har topic ke ware me bataya hai. or Blogger ki or jaankari ke liye yaha click kare

Agar aapke Pass iske alawa koi Tip ya Trick hai jisse apni Post ko Search Engine me rank dila sakte hai to Comment karke jarur bataye or ye jankari kesi lagi wo bhi bataye.